/>Welcome n Enjoy Updated Today:30/04/25Mpunjab.Mobie.iN
Sms Shayari Page 6 Sher o Shayari
Page.6
TUMHARI YAAD NE DIL KO BECHAIN RAAT BHAR RAKKHA
KABHI TAKIA IDHAR RAKKHA KABHI TAKIA UDHAR RAKKHA
<>=<> <>=<> <>=<>
Mila wo bhi nahi karte, mila hum bhi nahi karte
Bewafai wo bhi nahi karte, bewafai hum bhi nahi karte
Unhe ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka dukh hai
gila wo bhi nahi karte, gila hum bhi nahi karte
Gali ke kisi mod pe aksar takrao ho hi jata hai
ruka wo bhi nahi karte, ruka hum bhi nahi karte
Unhe jab dekhte hain sochte hain kuch kahein un se
suna wo bhi nahi karte, kaha hum bhi nahi karte
Hume wo dekhte hain, unhe hum dekhte hain
raha wo bhi nahi karte, raha hum bhi nahi karte
humne maanga tha saath unka
wo judai ka gum de gaye
hum yaadon ke sahare jee lete
wo bhool jane ki kasam de gaye
<>=<> <>=<> <>=<>
HUM NE KIYA AAP PAR BHAROSA
NAA KUCH SOCHA AUR AAGE
HO GAYE DILSE SIRF AAP KE
PHIR KAISA YEH TOOFAN AAYA
BAHA LE GAYA AAPKA PYAR SAARA
REH GAYE HUM AKELE
NAA SAATHI RAHA NAA SAHARA
<>=<> <>=<> <>=<>
Sham ke pichhle pehar kuch yaadein meri mehman bani
meri barasti ankhe jazbat ki tarjman bani
uss ke jane ke bad dukh huye mujhse aashna
har khushi meri zaat se anjan bani
pyar ke tanha raston par gire hue yadoon ke zard paton ko nafrton ki andhiya uda le jati hain.
socho ke samander mein uthnay wali maujein apne raste mein ane wali sab umeedon ko baha le jati hain.
na umeedi ki kali gaathaon mein mayusiyon ke andehron mein ek bhi chiragh roshan nahi har bar hawa mere ghar ka deep bujha jati hai
SAPNO ME KIYA GAYA SAFAR HAM DURI MAAN CHUKE
PAIDA KI GAYI ZAROORATH HAM MAJBURI MAANCHUKE
YE DUNIYA TERI YAADON SE BHARI HAI TO KYA HUA
ANKHE BANDH KAR KE TERI GALI KO ANDHERI MAAN CHUKE
DHADKAN AUR SAANS KA CHALA GAYA EHSAAS
AB TO APNE AAP KI BAAT BHI ADHURI MAAN CHUKE
HAKEEKAT KYA HAI KOYI HAME NA SAMJHANA
HAM DUNIYA KI BAATON KO LORI MAAN CHUKE
Zamana Kuch Bhi Kahe Uska Ahteraam Na Kar
Jise Zameer Na Mane Usse Salaam na Kar
Sharab Peekar Behakna Hai Agar To Na Pee
Halal Cheez Ko Is tarha Se Haram Na Kar
<>=<> <>=<> <>=<>
Yeh Ada Hai, Koi Gila Nahi
Meri Humsafar, Meri Zindagi
Main Yeh Sochta Hoon Ke khuda Kare
Tujhe Zindagi Me Woh Sukh Mile
Jo Mujhe Zindagi Me Kabhi Mila Nahi
<>=<> <>=<> <>=<>
Aaja Andheri Raate
Tanha Bita Chuka Hoon
Shama Jaha Na Jalti
Ankhen Jala Chuka Hoon
Tum Aaoge Kisi Din
Isi Intizaar Me
Najane Kitni Hasrate
Mita Chuka Hoon
Yeh Dua Hai Aatishe Ishq Me
Ke Tu Meri Tarah se Jala Kare
Na Naseeb Me Sharbat-e-Vasal Ho
Sada Zeher-e-Gham Tu Piya Kare
Tere Samne Tera Ghar Jale
Tera Bas Chale, Tu Bacha Na Sake
Na khuda Dikhaye Tujhe Khushi
Aaye Khair Se Woh Bhi Din
Tujhe Chain Na Aaye Mere Bin
Na Lagao Main Tujhe Gale
Minnate Tu Meri Kiya Kare
<>=<> <>=<> <>=<>
Karam Karo Chahe Sitam Karo
Hum Gila Nahi Karte
Khaza Me Phool Kabhi Khila Nahi Karte
Tum Hume Bhool Jao Lekin Yeh Yaad Rakna
Hum Jaise Log Kabhi
Yeh Jo Deewane Se Do Char Nazar Aate Hai
Inme Kuch Saheb-e-Israr Nazar Aate Hai
Teri Mehfil Ka Bharam Rakte Hai So Jate Hai
Warna Yeh Log To Bezaar Nazar Aate Hai
Mere Daman Me Kaanto Ke Siva Kuch Bhi Nahi
Aap To Phoolo Ke Khareedar Nazar Aate Hai
Kal Tak Jinhe Chhoo Nahi Sakti Thi Farishto Ki Nazar
Aaj Woh Ronak-e-Bazaar Nazar Aate Hai
Main Darta Hoon Qayamat Me Kaun Gawahi Meri De
Sab Tumhare Hi Tarafdaar Nazar Ate Hai
<>=<> <>=<> <>=<>
Aaj Humne Yuhi Khushi Karli
Dil Jalake Roshini Karli
Doob Kar Teri Neeli Ankhon Me
Khaak Humne To Zindagi Karli
Aate Jate Raha Karo Saheb
Kyu Aane Jane Me Kami Karli
Ek Bas Teri Dosti Ke Liye
Saari Duniya Se Dushmani Karli
jaise bhi hoga hum jee lenge
tum humein chhodd kar chale jaao
koi marta nahin kisi ke liye
har kasam tod kar chale jaao
kucch na socho hamare baare me
dil ko patthar bana liya humne
sochte hai yehi phir se aaj
tumse dil kyon laga liya humne
<>=<> <>=<> <>=<>
Hum apni ulfaton me aise kho gaye
Manzil to hai nazar me par raaste kho gaye
Usne diye tamaache tohfe me ek se ek
Wada-e-wafa nibhane hum dar pe uske jo gaye
<>=<> <>=<> <>=<>
Kya kaat liye chaar din pardes me
ab wo hume apna purana aashiq bhi samajhte nahi
Dushman saamne se guzarta hai to salam karte hai
wo aise guzarte hai jaise jaante nahi
Magar gum nahi karta main kyunki ye dastoor hai duniya ka
Yahan to apne bhi apno ko pehchaantae nahi
<>=<> <>=<> <>=<>
Aap Ne ki Bewaffai
Magar Main Abhi Waffa karta hoon
Aap Ne ki Bewaffai
Magar Main Abhi Waffa karta hoon
kahi Aankon mein na aajaye aansu
isliye Muskurate rehata hoon...
NEXT PAGE If any link is not working,ur requests write into GuestBook GUESTBOOK <<>::. HoMe PaGe .::<>> 1 :Online Userz 1 :Today visits 1 :This Week 1 :This Month 106 :Total Visits